Pages

Mar 21, 2016

Ghar se nikalne ki dua

Ghar se nikalne ki dua

بِسْمِ اللَّهِ تَوَكَّلْتُ عَلَى اللَّهِ لَا حَوْلَ وَلَا قُوَّةَ إِلَّا بِاللَّهِ‏

"Bismillahi tawakkaltu 'alallaahi laa haula walaa quvvata illaa billaah"

Tarjama: Main Allah ke naam se nikalta hoon, main ne Allah par bharosa kiya, gunaahon se bachne ki taaqat aur nek kaam karne ki quwwat Allah Ta'ala hi ki taraf se hai.

(Tirmizi: 3426)
Share on: 

Masjid mein daakhil hone ki dua

Masjid mein daakhil hone ki dua

Arabic: اَللَّهُمَّ افْتَـحْ لي أَبْوابَ رَحْمَتـِك

Allaahummaftahlee abwaaba rahmatik.

Tarjama: Aye Allah ! Tu mere liye apni rahmat Ke darwaaze khol de.

(Muslim)

Mar 20, 2016

Ghar mein daakhil hone ki dua


 اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ خَيْرَ الْمَوْلِجِ وَخَيْرَ الْمَخْرَجِ بِسْمِ اللَّهِ وَلَجْنَا وَبِسْمِ اللَّهِ خَرَجْنَا وَعَلَى اللَّهِ رَبِّنَا تَوَكَّلْنَا

Allaahumma innee as-aluka Khairal maulaji wa khairal Makhraji bismillaahi walajnaa Wa bismillaahi kharaj-naa Wa'alallaahi rabbi-naa Tawakkalnaa.

Tarjama: Aye Allah ! Main aap se andar jaane aur baahar niklne ki bhalaai ka Sawaal karta hoon, ham Allah Ta'ala hi ke naam se daakhil Hote hain aur Allah Ta'ala hi ke naam se baahar nikalte hain Aur ham ne apne Rab Allah hi Par bharosa kiya. (Abu dawood: 5096)

Share on: 

Baitulkhala se baahar nikalne ke baad ki dua

غُفْرَانَكَ, اَلْحَمْدُ لِلَّهِ الَّذِي أَذْهَبَ عَنِّي الْأَذَى وَعَافَانِي

"Ghufraanaka, Alhamdulillaa Hillazi azhaba 'annil azaa wa 'aafaanee"

Tarjama: Aye Allah ! Main aap se magfirat chaahta hoon, tamaam ta'areefein Allah ke liye hain jis ne mujh se takleef ko door kiya aur mujhe aafiyat bakhshi.

(Ibn-e-Maaja: 300 and 301)
Share on: